Farmhouse in Provence, by Vincent van Gogh
Fija

KHAWABOON KAAY GHAR SAAY AAGAY

This Nazam is something I wrote after a vivd dream which came with an strange realization of the endings of my dream.

Aik Ghar Barrish mein bheegta mujhey dikhta hai,
Jiski kharki mein sfaaid pardaye aur pholon bharay gamlay Barrish saay bheegaye rahay hein.
 
Phir kuch dur soochon tu tum Nazar aatay ho mere pas,
Aur bheeni bheeni si khushboo hai Barrish ki, adrak wali chai ki, aur tumhari.
 
Phir dekhtii hun tumko muskuratay huey, mujhey kuch batatay huway, aankheoon saay parhtay huway haal-e-dil mera, aapnaay haathoon saay Mera chehra chutay huway.
Dheema saaa kuch leejha tha tumhara, uljhii huwi thee kuch saansein hein tumharii.
Kareeb dekhti hun khud ko mein bazoo tumharay thamay Huey, jaach rahay ho Safaaid kutra pehnay tum.
 
Dekhooo kuch asaaa rishta soochti hun mein humara.
Whui rishta jo hum saay nibhaya na jayega, whu rishta jo hum saay  bataya na jayega, aur whu rishta jo duniya saay chuppaya nahi jayega.
 
Phir yeh jo waqat hai jismein naa milrahay ho mujhey na khooo rahi hun mein tumko, soochti hun rook lun iss khubsoorat izziyat ko.
Soochti hun phir kaay jo waqat guzar jayega aur faasle khatam hojayein gaye, hasil hojaun tumko tu rooh tu na bayzar hojayegii, Dil tu nahi bhar jaayega niyaat tu nahi badal jayegi.
 
 
Phir soochti hun gaaar hojao gaaye usskay tu kiya reh payo gaye mere,
Phir soochti hun kaay khushi tu ek hai Teri meri jokay hai Teri khushi,
par kahin teri khushi mein umeer bahar ka ghumm tu nahi hai Mera,
phir samjhati hun khudko kaay hum tu ek hein, tum Khush raho tu mujhey sukoon rahayega, Tum abad raho tu mujhey cheein raheyga.
 
Bas whuin taak jaaati hai sooch meri khuwaish meri, khawab mere, kyun kaay Dil e janam ussay aagaye shayad
judaai hai,
shayad russwai hai,
shayad gaam hai,
shayad kitaabo kaay dhare talay Teri meri kahani hai,
shayad jo kaal tum aur mein sooch nahi patay whu hai hee nahi.
 
Garr hai tu Khush hun mein, apni khushi par rashk hai, nahi bhi hai tu ghumzayada nahi hun mein, kyun tu aaj mein abhi mein iss pal mein meraaa hai,
 
Teray Dil mein basaray bhut huay, par intezaar Mera hai,
Teray wadoon kaay baksaay mein bharay rakhay hein khaat par,  haar khaat mein khushbooo meri hai....
Khushiyan tujhey bhut siii millni hai par mujhey yaqeen hai kaay
tujhey mujh saay na mil pana Teri haar subha ko shaam mein badal dayega.
 
Yaaqeen karon yan nahi,
tu bhi yaqeen kar yan nahi,
waqat bhi saath daaye yan nahi,
Tum janam Mera khayal ho
khulus ho
Ahsaas ho
Iqrar bhi hu
israr bhi ho,
intezaar ho
aur niyat e shaab o din ho,
mere liye sitaroon bhari raat ho.
Altre opere di Fija...



Alto