Fija

Mujhey Tumhari Zaat kee Khubsoorati Pasand Hai

Mana kaay doston mein Saab saay unchaaa Kahka mera haii,
Mana kaay Saab saay zayada Dil chulbula mera hai,
Mana kaay kush rooh, khush bakht, khush Mizaj  lagti hun mein,
Mana kaay ulat hun dukh aur udasi ka, par yeh tu matlab nahi kaay Dil Gulistan Hai Mera.
 
Dekho kitni aalag hai tumhari aur meri zindagi,
Tumahe pasand hai Kamoshi, Udasi aur Baybassi,
Aur mein haar naye surooj kaay satth Saab peechay chor dayti hun.
 
Loog dekh lein tumhae, tu alag saa naarm saa lahjaa yaad rakhtay hein tumhara,
Sunnn lein tu bekarar hojate hein.
 
Lakin mujhey dekh kar loog thear jaatay hein, soochtay hein kuch deir aur guzar jatay hein,
Aur phir umer bhar yadd rakhnaay ki koshish bhi nahi kartay.
 
Tum cigarette kaay dhuein mein khud ko chupatay hoo,
Mein haar Shaam adrak wali chai kaay sung tumhara intezaar karti hun.
 
Tum haar subha uth kaar unn paharon mein jaa basnay ka khawab dekhtay ho, aur mein unhi paharon par saay guzartay baadloon saay tumhae tehr janay ka paygaam bhejti hunnn.
 
Ghar saay nikaltay ho jaab Tum, tu soochtay hu aaj phir hogi nayi mehfil,
naaye dost, nayi umeed aur nayi musibaat mere pas,
Magar jaab tum aa bethtay ho mujsay kuch dur kuch qareeb, tu mein tumhara chehra parhti hun bas, aur tumhari Khushboo yaad rakhnay ki koshish karti hun.
 
Ab tu saach kahon mein!!
Assa ek sawal karaty ho jaab bhi mein tumhae bheer saay alag milti hun,
Mein huss kaar jawab dayti hun, tum bolo mein haar jhoot ko sach aur sach ko jhoot Mannay ko tiyaar hun.
 
Pasand hai mujhey tumhara uljha huwa leejha, uljhi huwi sooch, bayzaari bahari suraat, ghar janay ko, maa saay milnay ko beqarar rooh.
 
Aur hn janti hun mein dartay hoo mujhsey tum.
Dartay ho mere saachay tareeqay saay jhoot bolnay saay, dartay ho mera Saab kaay saath ek jasa rehnay saay.
Altre opere di Fija...



Alto