Hai kon zaat ishq hum naay baataya nahi aur silsialy wafa tum nay nibhaya nahi
Kartay rahay adda dastoor e waqt hum bhi
Par thum Jana kisi naay tumko sikhaya nahi.
Laafzon mein jaan tu teray bhi bhut hai
Par diloon paar ikhtiyar pana phir bhi tujhey aya nahi.
Khamoshiyan haar su hein teray,
Paar zaat mein jo shoor hai who mita to paya nahi.
Doobta har sham tu bhi hai sooraj ki tarahn, par nai sehar kaay saang khil jana tujhey aya nahi.
Bagh o bahar, saard o naam, shaam o subha hein kiya tujhey maloom nahi
Mausam hazar hein par mahsoos tu kar paya nahi
Waqat tu bhi dekhta hai diwaar paar latki yan haath paar pehni ghari mein.
Par waqat kasay guzarta hai yeh samajh tu paya nahi.
Luta dee apni zaat tu naay bhi mehboob kaaye peechay, laykin humsafar intezaar mein hai, mill tu usaay paya nahi.
Samjhta raha jiski hussi ko tu khushi aapni
Usskay saath to kabhi muskura tu paya nahi.
Poochta hai sawal tu baar baar jis saaye,
Uski ankheinon mein jawab tu dhoond paya nahi.
Manzil ki talash hai tujhey Paar safar tu they kaar paya nahi!
Jana chata hai uski raza, paar haathon ki lakirein tu padh paya nahi.
Luta dee apni zaat tu naay bhi mehboob kaaye peechay,
laykin humsafar intezaar mein hai, mill tu usaay paya nahi.