Fija

KAHANI

Story of Give and take is not always what you think

Ek Arsay saay Safar mein hun,
Ek Umeer saay meri Saza Jari hai.
 
Ek paal tha whu meri Qaid ka,
Ek Baras tum paye mein naay jaan hari hai.
 
Ek Faisla tha jaza ka Jo pura kiya mein naay,
Ek Haqiqat ka Suraj hai jo tullu hona baki hai.
 
Ek khawaish thee meri Jo ghum gayi,
Ek Dua hai jo ab bhi Puri honi baki hai.
 
Ek Qirdaar tha mera jo adaa hua,
Ek Puri Kahani hai jo ab bhi baki hai.
 
Kuch lafaz thay mere pass jo yaad nahi,
Ek Ghazal hai jo ab bhi likhni baki hai.
 
Ek khushi thee wabasta tujhsay,
Ek khawaboon ki dor hai jo ab bhi tootni baki hai.
 
Shook thay ek hum, Su uttar gaye Dil saay,
Ek dhadkan hai jo ab bhi rukni baki hai.
 
Ek udassi rehti hai meri aankheon mein,
Par Ek Jhooti hassi hai jo chehray par bhi Sajani hai.
 
Baay Niyaat Ishaa thay hum su Qaza huway,
Ek Fajar hai jo ab bhi adda honi baki hai.
 
Ek Saudaa thaa tu ghata huway humein,
Par ek qimaat hai jo tumko bhi chukani hai.
 
Ek Darya e Sabar hai mujhmein,
Ek Samandar hai jo ab bhi zaat mein chupana baki hai.
 
Toofano mein thee kashti meri tu doob gayi,
Par ab bhi Ek kinara hai Jahan saay madad aani baki hai.
 
Ek chaun thee jo cheen gayi, Magar ek dhoop ab bhi mere hissay mein baki hai.
Altre opere di Fija...



Alto