Melancholy, by Edvard Munch
Fija

Depression is a Dark Place

I Just Explained The Depression My way

Meri Duniya Saab Ki Duniya Jasi Nahi Hai
Whu Rangoon Aur Chamak saay Bhari Nahi
 
Meri Duniya Surmai Rung ki hai, Kaalay aur Safad Kaay Darmiyaan ka Rung
Ek Asaa Rung Jis Saay Kisi Bhi Cheez ko Rung Dein tu Bayjaan Laagnay Lagti Hai
 
Meri Duniya Mein Bhut Khamoshi  rehti Hai, Yahan Apnay Ilawa Kisi Ki Awaz Sunnai Nahi Dayti
Yahan Bahar aur Dhoop Dekhnay ko nahi Milti Yahan Sirf Beraang Bewaqat Barrish  Aur Khazan Rahti hai
 
Meri Duniya mein kuch bhi saaf dikhai Nahi Dayta Kyun Kaay
Yahan Haar Waqat Khora Rehta hai Saab Dhundhla rehta hai
Hum Sacch Aur Jhoot Kaay Beech Ka Faraq Nahi Batasaktay
Kyun kaay Hum Theek saay Dekh nahi patay
Koshish Karnay Par bhi Saab Ek saa Hee dikhta Hai
 
Hum Sirf Khoshisyaat ko Mahssos Karsaktay Hein, kuch Asaay Ahsaasat jo chubtay hun, aur Takleef daye hein, Magar Kabhi Unko Tameel Nahi milti
 
Meri Duniya Mein Bhut Saay Loog Bhi Hein, Kuch Assay Jism Aur Chehre jo kabhi dikhtaay hein aur kabhi nahi
Hum Yahan Ansoo  Nahi Bahatay, Humaray Pass Dil Nahi hai, Humein Taqleef Mahssos Nahi hoti, Aur Ansoo Wasay Bhi Barish Mein Apna Wajood Kho Daaytay Hein
 
Hum Yahn Subha Honay Ka Intezaar Nahi Karaty, Yahan Duphar Mein Bhi Andhayra Rehta Hai
Altre opere di Fija...



Alto